door javunga main........
door javunga main, tumhe kabhi na yaad avunga main
teri raahonse agar guzaru duwa dunga tujhe main
khush raho khush raho bhale meri yaad na karo
tujhe yaad karunga main
door javunga main, tumhe kabhi na yaad avunga main
dekhe the maine khwab bas tumhare
tumise se the jindagi ke ummeede mere
milta nahi hai iss jindagi me jiski hoti hai chahat
duniya wahi rehati hai badal jate hai log
door javunga main, tumhe kabhi na yaad avunga main
tujhse tha na main kabhi alag
tumhare aansuwome roya houn main
tumhare hassi me hassa houn main
jindagi ki har sapna dekha tha maine saath tumhare
tumhe ab koi takleef na hogi
door javunga main, tumhe kabhi na yaad avunga main
mere sapanome rahogi tum
mere har saans me jivoge tum
mere takdeer mere jindagi ka hissa ho tum
tum bhool javo magar tumhe na bhool pavunga
door javunga main, tumhe kabhi na yaad avunga main
na mili tum mujhe to kya huwa
tujhe khushiyome chhod ke ja raha houn main
takdeer phir milaye na milaye
tum apna khayal rakhana
door javunga main, tumhe kabhi na yaad avunga main
pyar kiya hai tumse maine
meri har jasbaat hai bas tumse
tumhe na bewafa bhi bula sakunga main
tere har jeet pe khushi manavunga main
main haara houn aaj tujhe kabhi harne na doonga main
door javunga main, tumhe kabhi na yaad avunga main
"MAY FLOWER"

0 Comments:
Post a Comment
<< Home