Sunday, November 27, 2005

Tum door hogayee bas yaade rah gaye

Tum door hogayee bas yaade rah gaye
ghav bhar gaye, nishan rah gaye
aawaz sunata houn mai tumhara in hawawome
khwab dekhata houn anderi rato me
jinda jal raha houn mai, tere mahobbat me
Tum door hogayee bas yaade rah gaye....

dil me hota tha hulchal, jab tum muskurati thi
mai kho jata tha bas tumhari aawaz sunakar
haan mai bas tumhe chahata tha aur chahata houn
batana to chaha kayee saal pehale
bas bata na paya
Tum door hogayee bas yaade rah gaye...

baharo me bhi sookh raha houn
chandani me bhi jal raha houn
woh pal aaj bhi mujhe yaad hai
woh chehara aaj bhi iss dil muskurata hai
bas kisise kah nahi pata houn
Tum door hogayee bas yaade rah gaye...

0 Comments:

Post a Comment

<< Home