aansu chhalak jayenge to gajab ho jayega
aansu chhalak jayenge to gajab ho jayega
jis shaks ka naam hum khudse bhi chhupate hai
sare duniya ko unka naam pata chal jayega
bhujado roshni ke ab andere me hi guzar karenge
kahani hai barbaadi ki iss chehare par
isse hum padanewalonse chhipayenge
jam pe jam peeye ja rahe hai hum
ab botale hatado in dekhanewalonke samane se
duniya ko hamari ghum ka pata na chale
dar iss baat ka nahi ke hum badnaam honge
hum to badnaam uss din se hai jis din unse ulfat huyee thi
magar unki badnami na wein sah sakenge
haqiqat kya thi aur aaj kya hai
chhodo tum sab kuch aaj, hamare iss wafa ke dastan ko dafnado
aankhome rahate hai dard inhe bahane se rokalo
aansu chhalak jayenge to gajab ho jayega
jis shaks ka naam hum khudse bhi chhupate hai
sare duniya ko unka naam pata chal jayega
"MAY FLOWER"

1 Comments:
HEy this is beautiful man! infact all yr shayaries and poetries are!
All the best to ya...;-)
Post a Comment
<< Home