Sunday, August 28, 2005

Composed by me

Mujhe rulakar mere ankho me kya dekhana chahate ho tum
Meri taraf youn na dekho ke mujhe aansu bhi chuppana pade
Haan tut gaya houn tere bina
Aur kya janana chahate ho tum!!


taqleef to aaj bhi hoti hai tere un batonko yaad karke
dil to aaj bhi rota hai tujhe yaad karke
kitna chahata tha mai tujhe
aur kitna chahata houn mai tumhe aaj bhi
ye juba hai ki kuch kahana nahi chahata
aur kuch afsane hai jo tere chahat me barbaad huye hai


janta houn tujhe paa nahi sakunga
janta ye bhi houn ki mere pyar ko tumhe kabhi samjha bhi nahi sakunga
meri shayad kismat hi itni kamjhor thi
shayad mai kisika ban hi nahi sakta houn..


Aaj kuch to ho raha hai tere dil me
ke tumne humse baate karna chhod diya hai
Such to ye hai ki tumhe bhi humse pyar hogaya hai
kahi tut na javo mere bahome aakar, humare paas aana tumne chhod diya hai
karo inkaar hazar baar, magar ek baar to tere dil ne kaha hai tumse
haan mujhe bhi pyaar hogaya hai


hum aaye iss mehfil me kisika dil rakhane ke liye
anjane me tumhara dil toot gaya
maafi chahata houn tumse kasoorwaar hai ye nigahe,
to tujhpe phirse aake runk gaye
aur sajha nahi de sakta in nihahonko
jo pehali galati ki sajha hi aaj tak in aansuwonme chuka rahe hai


jindagi ke raaho pe akele chalata raha najane kabse
tujhe raah me dekha to tujhe saathi banana maine chaha
magar tum nikle raahi kisi aur manzil ke
jo mujhe phirse gumnaam raho ke hawale kar gaye


Ajeeb hai ye dil ke rishte
do pal me lagta hai sab kuch mil gaya
doosre hi pal lagta hai
sapna tha koi toot gaya
tera saath bhi to ek sapna hi lagta hai
jannat hai samane magar jahnnum pyara lagta hai


ek tum ho jise hum dekhna chahate hai
magar tum ho ke samne aati nahi kabhi
ek maut hai jise paana chahate hai
magar kambaqt usne bhi satana sikh liya hai
mannat karne par bhi aati nahi hai maut hume


woh mehal bhi kya jaha pyar ka diya jala hi nahi
woh jindagi bhi kya jahan insaan pyar ke liye roya hi nahi
tumhare samne to kayee dil roye hai
naaz apne khoobsoorati par hoga bahot tumhe
yaad rakhna woh bhi hai chand palo ke liye



With warm regards,
Sushant

Thursday, August 25, 2005

My article on IBM Developer Works

Here is the link :

http://www-128.ibm.com/developerworks/wireless/library/wi-gui/index.html



Regards,
Sushant Naik

Wednesday, August 24, 2005

It's me