kabhi khushi rooth gayee mujhse
to kabhi ghum meharban rahi
baharone loot li meri aashiyane ko
warna main bhi hasta hota apni mahobbat ke bahome
e tufano dhak do mujhe iss reth ke neeche
apni koi wajood na rahi
main saans lu iss duniya me
aisi ab koi maksad na rahi
ghum me piya
khushi me piya
magar woh nasha na aaya
tere mahobbat me do ghunt pyar ke kya pee liya
lagta hai jindagi bhar ka nasha chad gaya
manzil ko chahane se
koi manzil apna hota nahi
jindagi ke khel bhi anokhe hote hai
haar bhi wahi milti hai jahan jitne ki poori ummeed hoti hai
tere rahome phool khile
mujhe kyon na kafan odani pade
hamara saath to bas itni tak hi thi shayad
sitaroko main kabhi apna manzil na bana saka nahi
badalati rahi duniya, badalte rahe log
in aankhoke samne hi badle mahobbat ke bhi tevar
jeene ke liye kal tumhara sahara tha
aaj ye jam rah gaye hai
badalati rahi duniya, badalte rahe log
ye sham aur subaho thahar javo
tumhare chalne ki koi jaroorat na rahi
jalado meri duniya ko ye duniya walo
unki kami ab hamesha ke liye rah gayee
ladne do tere do nigahonko mere in nigahonse
karne do do dilonko yuhi baate
mahobbat ki yahi to shuruwat hai
kal jo ban jayega koi afsana
likh dete hai uspe naam aaj hamara
jindagi ke panno ko palta ke dekha
phirse aankhose aansu chhalaka
tumhare yaade saalo baad bhi itne taaze rahe
har saans pe wein phirse hare hote rahe
tumhe chahakar kisine apni jindagi ko thokar lagaya hai
agar tum ye baat yaad rakh sako to bahot hai
mil jate hai khushiya jindagi ke har mod pe
tumse mile ghumonko kisine dil me sajhakar rakha hai
agar tum ye jaan sako to bahot hai
sharab pee peekar rota raha
nashe me raha lekin tumhare yaadonko na bhula saka
ab iss dil ke dard ko dawa kaha se lavu
juda hokar tumse jeena mumkin nahi
rishte hai itne yaha ke marna aasaan nahi
"MAY FLOWER"