Thursday, April 20, 2006

Today's shayaris

phool khilte hai hazaro
har kisi me kante nahi hote
ye mahobbat bhi ajeeb cheez hai
jaha kante hote hai usi phool se dil ko ulajha deta hai


mausam me na koi shor hai
hamare hont bhi aaj khamosh hai
lagta hai tumko bhi humse pyar hogaya hai
sunate the tumhari aawaz kabhi
aaj tum bhi khamosh si hogayi ho


mila nahi sakate nazare tumse
hume hi nahi pata kab tumse pyar kar bythe
darte hai tumse ye jatane se
kahi ye junoon hamari jaan na le


chhalake aansu un sabhi ke aankho se
jo bhi suna gazhal hamara
bas ek tum pathhar dil ban ke rah gayee
aur hume likhne ke liye bas aansu rah gaye


"May Flower"

Tuesday, April 18, 2006

Shayaries

mausam ke saath log badal gaye
waqt ke saath rishte badal gaye
hum ne dil lagaya tha kisise
aaj wein bhi paraye ban gaye


aaj jana jisko maine khuda samajhkar pooja tha
woh bas ek pathhar ka tukada tha
duwa karne se hota nahi kuch haasil yaha
pathhar banake jivo to hi manzil hasil hoga


kanto ki duniya se nikal aaya houn main
tookado ko jodkar ab iss dil ko paya houn main
janata houn itna mazboot nahi hai ye dil ab
phirbhi ab kabhi na tootegi itni to housila hai isme



iss dil ko hum itna na tadpaye hote to hi achha tha
apne pyar me kisiko itna na sataye hote to hi achha tha
kabhi sochate hai tanahayee me bythake
hum iss jindagi me na aaye hote to hi achha tha



do pal ka hai ye saath iss baat ko agar samajh pata ye dil
to shayad aisi ulfat na hoti tumse
agar mazaboor itni bhi na hote
to iss dil ke halatonko kisi apne se jataye bhi hote


har subah mujhpe hasta huwa uss suraj ko dekhata houn
khudko haara aur toota huwa paata houn
har saanj me uss doobate huye sooraj ko dekhata houn
main khud apni hasti uss saanj ke saath mitata huwa pata houn

"May Flower"

Wednesday, April 12, 2006

my recent writings

hazaro hai sitare aasaman me
magar har koi chahata hai chand ko
hum rah gaye hazaro me
na ban sake chand kisike


chand pe hasa tha kabhi maine ye kahakar
ki mere paas hai koi jo hai tujhase bhi sunder
aaj chand hasa mujhpe ye kah kar
mujhme to bas ek daag thi magar tumhari mehbooba to bewafa nikli


nahi aayenge hum kabhi lautake yaha
nahi hai koi apna yaha jo laut ke aane pe mazaboor kare hume
thokar to laga chuke way hume
ab jane kab ye jindagi bhi hume thokar laga de


nahi likhte hum aansuwonse bhare ye ghazal to hum jeete kaise
nahi jatate haalat apne dil ke iss kagaz par to phir kaise khamosh rah sakte
tofa hai hume hamari pehali mahobbat ka
ab jindagi me kabhi kisiko hum chah sakenge nahi

"May Flower"