Thursday, December 29, 2005

Ye kya hone laga hai hume

ye kya hone laga hai hume
jaise dil asaman me udane laga hai
mili jo nazare tumse hamari
dil kyon aise machal ne laga hai
khone lage hai hum kabu dil pe
tumne aise muskura jo di hai
dhandkanonki raftar kyon bad gayee hai
behosh se hum kyon hone lage hai
ye kya hone laga hai hume
jaise dil asaman me udane laga hai
hamare nazaronki pehali mulakat ye hai
tumhare nigahe ab kyon sharmake juk gaye hai
dil me ab ek hi to baat hai hamare
hume tumse mahobbat jo hogayee hai
ye junoon hai ab hamare sar pe
tere saath jeena marna hume hai
ye kya hone laga hai hume
jaise dil asaman me udane laga hai

Monday, December 19, 2005

Mujhe aaj peena hai

iss khali pyamane ko to bardo
mujhe aaj peena hai
sahara jinko mana tha woh sahara chut gaya
jasbaat kagaz ki kashti ki tarah doob gaye
ab dil me sulagate hai shole
mehafil mein ab pivunga
iss khali pyamane ko to bardo
mujhe aaj peena hai
duniya, daulat ka shauk chhod chuka houn
unke chahat me apna sab kuch kho chuka houn
wafa ka sila mila mujhe
duniya ke mile thokare mujhe
iss khali pyamane ko to bardo
mujhe aaj peena hai
saje the mere bhi khwab unke chahat me
main bhi khil utha tha unke kadmoke aahat sunke
sandil banake rah gaye wein
mere dil pe angare baras gaye wein
iss khali pyamane ko to bardo
mujhe ye aag bhujani hai
mujhe aaj peena hai

"MAY FLOWER"

Thursday, December 15, 2005

Ek ladki hai bholi soorat ki

ek ladki hai bholi soorat ki
najane mujhme kya paati hai
jo hamesha mujhe dekhti rahati hai
najare to churake bhagta houn me usase
phirbhi kyon hamesha uski najar mujhpe pata houn
aankhe to kahate hai kuch kahani
nazare mila to nahi sakte
phir kahani pade bhi to kaise
kuch to hai jo woh mujhe dekhti hai
aisi katil nazar uski kyon hai
sochata houn me tanahayee me
phirbhi jawaab nahi pata houn me
poochoo usase bhi kaise
ke kabhi koi baat na ho payee hai
phirbhi kabhi kabhi lagta hai
mujhe usase baat karni hai
magar kaise kare baat.
ke koi wajah nahi milti hai
usase jaake milne ke liye
likh diya kaagaz par ye labz
kya kare us tak pahuncha na saka kabhi !

~MAY FLOWER

Tuesday, December 13, 2005

ye kya hone laga hai hume

ye kya hone laga hai hume
jaise dil asaman me udane laga hai
mili jo nazare tumse hamare
dil kyon aise machal raha hai
khone lage hai hum kabu dil pe
tumne aise muskura jo di hai
dhandkanonki raftar kyon bad gayee hai
behosh se hum kyon hone lage hai
ye kya hone laga hai hume
jaise dil asaman me udane laga hai
hamare nazaronki pehali mulakat hai
tumhare nigahe ab kyon sharmake juke hai
dil me ab ek hi to baat hai
hume tumse ulfat jo hogayee hai
ye junoon hai ab hamare sar pe
tere saath jeena marna hai
ye kya hone laga hai hume
jaise dil asaman me udane laga hai

Wednesday, December 07, 2005

Udas nahi houn mai unse


udas nahi houn mai unse
pareshan houn mai khudse
najane kya mai sochata raha
iss soch me hi kitne saal guzaara
udas nahi houn mai unse
kya aisi hi thi meri jindagi
unke aane se pehale
ya phir mai khud badal gaya unke liye
kya aise hi log mujhe janate the
kya aise hi log mujhapar haste the
udas nahi houn mai unse
kya aise hi khamosh rahata tha peharo
ya phir mere labz gayab ho gaye
khudki maine kya halat bana li
jamana darne laga mujhse
kya aise hi thi meri muskan
soch soch ke pareshaan houn
udas nahi houn mai unse

Monday, December 05, 2005

Some lines in Kannada