Thursday, September 14, 2006

Shayaris again...

koi ilzam pe ilzam de gaya
mahobbat ke naam pe in aankhonko aansu degaya
ab gila kare bhi to kisase kare
jab katl karne ke liye talvar kisi apne ne uthaya

jinki aawaz hum sunana chahate the har pal
wein hi aaj khamosh hogaye
hum jatate bhi to kaise apne pyar ko
ke wein sunane se pehale hi apna mu fer liye

kehate bhi kya unse hum
jo hamse kuch kahane sunane ki chahat nahi rakhate
hum unpe dil haare hai to kya huwa
hazaro hai dil hamare jaise unke kadamo ke neeche

guzarate the hum un raahonse ye sochake
kahi na kahi to unse mulakat hogi
dhadhakata rahata dil ye sochake
kahi na kahi to unki hassi ka deedar hogi
aaj guzare wein samne se aise
hamse kabhi mile hi nahi ho jaise

dekhe the humne bhi khwab kisi ka
aaj woh haqiqat kisi aur ka hai
hasna to har koi chahata hai
agar hassi kisiki aansu laye in aankhome shikayat karna bhi kya apni kismat se

najane kyon humne ye soch liya ke wein hume chahate hai
wein to hame hasta huwa dekhna bhi nahi chahte hai
socha tha unhe door se dekhale to bahot hai
haqiqat to ye hai ki wein hume apni soorat bhi na dikhana chahate hai

"MAY FLOWER"