socha na tha ki aisa bhi koi din aayega
socha na tha ki aisa bhi koi din aayega
tanahayee main tumhe yaad karke in palkonko bhigona padega
har ek lamha ek sadi jaise lag raha hai
duniya me har taraf gum hi gum nazar aa raha hai
mausam ki har mehak dil ko beemar bana rahi hai
uthathe hai dard ke tufan iss dil me jabbi behati hai thandi hawa
mit gaya har woh naks jo dilo dimag pe chhaya tha
na mit sake to kal ke wein yaade jaha tumhe dekhake humne pal guzara tha
ab gumone dosti sharab se kar li
jaamone hamare hisse ki dard ko bant li
hum kya the aur kya hogaye
gum itne hogaye ke sharabi mehafil ke hisse hogaye
kal tak to hum intezar karte rahe tumhara tanaha jeeke
kya khabar thi hume ki woh ummeed bhi kabar ban jayegi iss dil me
na kisi manzil ki hume talash hai na ab kuch pane ki chahat hum rakhate hai
jo nahi maanga tha woh sab kuch mila hume na kabool huwa to tere saath jeene ki ek hi duwa
socha na tha ki aisa bhi koi din aayega
tanahayee main tumhe yaad karke in palkonko bhigona padega
"MAY FLOWER"