Tuesday, March 28, 2006

Shay-Way

Saath salo ki mahobbat ko
Kisi aur ke saath, saath fero me nibhane chali
Apne khushi ke liye woh bewafa
Mere jindagi ko jalaye chali
Mit to javunga main
Magar duwa karta houn meri bewafa ka ghar khilta rahe hamesha


Jindagi me woh bahar ab na rahi
khilte the mayee ke phool hamare aangan me
woh angan ab hamari na rahi


mana ke shayari gum ke liye nahi hoti
magar char panktinyonme hota hai jo dard
hazar panktiya bhi bayan nahi kar sakte


tab kinara koi aur tha, aaj kinara koi aur hai
kal sochate the tumhe apni dil ki baat kabhi kah sakenge ya phir nahi
aaj sochate hai thokare tumse khaye hai ab iss jaha ko chhodake kaha jaye
tab kinara koi aur tha, aaj kinara koi aur hai

" May Flower "

Tuesday, March 21, 2006

Kannada Poem-IV

Wednesday, March 15, 2006

Kannada Poem-III

Tuesday, March 14, 2006

Kannada Poem-II

Friday, March 10, 2006

Kannada poem -1

Thursday, March 02, 2006

Shayaris after a long time....

chhut gaya saath tumhara
humne hasna chhod diya
ye nazm yaad dilate hai tumhari
ke aaj humne likhna chhod diya
woh pal bhi door nahi
jab hum sanse lena chhod denge

agar hasna aasan hota khokar tumhe
to shayad jamane ke saath hum bhi haste
agar jeena mumkin hota tumhe kisi aur ka hote huye dekhake
to shayad hum bhi aaj jee lete

jindagi ke daud me thak ke ruk gaya
hazaro me maine bas tumhe doonda
yaha to har koi mujhe jalane aaye hai
hamesha ke liye sogaya houn main magar tumhari aane ki intezar ab bhi hai

agar mere maut ke baad duniya tujhpar ungli na uthata
to shayad main tere pyar me khudko mita hi deta
jee raha houn mazaboori tere laaz ki
warna koi shikayat nahi uss khudase bhi

pyar ke raho me kante hote hai
magar hume kanto ke saath jeena achha laga
jindagi me khushi shayad kahi aur bhi milti
magar hume tere intezar me marna achha laga
aise hi na bane koi shayar
aise hi na bane koi devdas
iss husn ki zulm itni bhi na hoti
to hamari raah koi aur hoti

yuhi koi sharab ka gulam nahi hota
har kisi ko aap jaisa bewafa nahi milta
kyon kosate ho uss sharab ko ye dil
jisne tumhe bhoolake jeena sikaya hai

pivo to sharab itna
ke kisi ke yaade bhi nazadeek na aaye
mar gaye peete peete to koi ghum nahi
ab muskil hogaya hai jeena tumhe yaad karte karte

dil ke dard ko bhoolne ki koshish hai
tumhe bhoolkar jeene ki koshish hai
aaj mein pee raha houn
maut ke kareeb jane ki kashish hai

ye sawal na hi karo to achha hai
ke mein kyon pee raha houn
har koi door gaya hai mujhse
koshish hai maut ko to kareeb le aaye

mere jasbaat, mere dil ke armaan
ba ek hi hassi mein tum uda gaye
ab ye jism kis kaam ka
jo aaj sirf maut ke intezar me hai

tadap tumne diya iss dil ko
jeene ki tamannawonko maut de diya
ab kya shikayat iss duniya se tum karoge
jis duniya ko chhodake hum hi chal diye

"MAY FLOWER"