Tuesday, June 27, 2006

Kitna tha mazboor koi

ye math kahana ke tum mazaboor thi
ye hum bhi janate hai ki tum kitni mazboor thi!
jab log duniyadari seekh jate hai
yuhi mazabooriyonki duhayee diya karte hai

"MAY FLOWER"

Wednesday, June 14, 2006

Truth of love!

Dil tha magar daulat ki kami rah gayee
mahobbat tha magar labzonki kami rah gayee
lagta tha sab kuch hai mere pass
jab tum chhod gayee, tab in sab ki kami mehsoos hogayee

"MAY FLOWER"

Few more which I penned

Likhe the kisi ke liye magar suna na sake
kahane ko to bahot kuch tha magar aamane saamne kabhi mil na sake
betabiya the bahot hamare iss dil me wein samajh na sake
aankhome hamari thi tasveer unki bas wein hamse nazare mila na sake

Ishq ke galiyome barish shuru hogayee
dil ke dharti pe ek nayee rang chhagayee
socha nahi tha hamne ke aisa bhi hoga
hamare dil ko bhi aaj bhane laga hai koi

aap hi ke baatonko dourata houn
aap hi ke khayalo me khoya rahata houn
maloom nahi ke mere iss dil ko aapki aadat hogayee
ya phir mujhe aapse ulfat hogayee

aankhoki juba tumhe samajh me na aayee
likhata raha main shayari tumhe meri dil ki baat samajh me na aayee
karata raha main tumse mahobbat
najane kiska naam tum mujhse poochhati rahi

milna tha tumse ke hum saahil chhodake aagaye
baat karni thi tumse hum kismat ko thukarake aagaye
aaj agar tum na do saath hamara
chhod jayenge hum iss duniya ko bhi

"MAY FLOWER"