Wednesday, August 16, 2006

Aazad





















"May Flower"

Thursday, August 03, 2006

Jalaanewali aag wahi hai

dil todnewale se hum kaise kahe
ke kitna rulaya hai unke baatone
phirse muskarake guzar gaye wein samne se
kaise kahe ke wahi hassi hai jo hume tanaha hone ka ehasas dilata hai

janate nahi hai hum ke ab kabhi mulakaat hogi ya bhi nahi
ummeed to rakhate nahi hai ke aap hume pehachanenge bhi
hamara har ek sans aapke dhadakanonko mehasoos karta hai
ab raho kareeb ya phir door yaade hai hamare pass, kaafi hai jeene ke liye


aaj bhi behate hai aansu hamare in aankhonse
aaj bhi karte hai hum yaad unhe
sach hai ki wein kabhi aayenge nahi hamare jindagi me
aur ye aansu unki kami poori kar rahe hai


peena hai sharab ke hume aansu phir bahana hai
mite hai tere chahat me jana chahate hein yaha se tere chahat me
ab tumhe dubara shiyakat ka mauka nahi denge
hum apni janaze ko bhi ab tere aangan se guzarne nahi denge


jindagi kaha se shuru huyee
aaj kaha aake thum gayee
kal saans lene ki koshish karta tha main
aaj kyon ye bhi begane se lagte hai mujhe

sach hai ki tumhe dekhakar koi bhi dil haar sakta hai
maine tumhe sirf dekha hi nahi tumhe mehasoos kiya hai
ab reth ki tarah bikhar gaya houn
lehar jo aayee thi woh ab laut chuki hai kahi

ab ye dil kabhi dhadakega nahi
kisike liye iss dil me chahat hoga nahi
tujhe yaad karke kitne aansu bahaye hai yaad nahi
sach hai ki tumhare bina ab hum jee sakte nahi

"MAY FLOWER"