Wednesday, July 26, 2006

Once again...

tehalne gaye the hum mahobbat ki bazar me
bas nilam hogaye sykado me
ek husn thi boli lagane
hogayee thi hame ulfat jinse

nikal raha hai dum mera ek hi ghum me
do aankhe hai jo tumhe dekhne ke liye taras gaye hai
kal jab tum bina baat kiye chale gaye, laga sab kuch kho gaya
aaj jab tum mujhse hamesha ke liye door ja rahi ho
soch raha houn nayee subah main dekhunga bhi ya nahi

jana tha kahi, aaj thum jane ko dil karta hai
seh chuke dard bahot ab in sanso ko rok dene ko jee karta hai
dil tukdo me bikhar chuka hai jodna nahi chahata houn
mujhe dhilasa math do mere yaaro, janata houn unse achha koi hame milega nahi

jise chaha usne kabhi samajha nahi
mahobbat me mile jakhm kisiko dikha na sake
gum-e-judayee kisase jataye hum
door door tak na koi apna hai na koi paraya yaha

kiski kasam khake tumse kahu
ke kitna chahata houn mein tumhe
kis khudako lake tumhare samne khada karu
ye batane kitni wafaye ki hai maine tumse
tumne kaha ke taqleef de raha houn mein tumhe chahake
tumhare khushi ke liye main tumse bhi door ja raha houn abi

kisi aur ke haath ko tham kar chalne ka irada na hota tumhara
to mere aashiyane me bhi khushiya hote
chaha tha iss tarah pehali baar kisiko
shayad unhe pana mere kismat me nahi tha

yaad rakhna tumhe khushi chunana hai, ghum nahi
rehane do saare gumonko mere aanchal me
meri khushiya bhi le javo
tumhare bina ab mujhe in khushiyonki bhi jaroorat nahi

palak jhapakte hi tera saath chhut gaya
kuch hi lamhome najane ghumonka kaisa sailab aa gaya
lut gaya mera sab kuch, na raha kuch bhi
shayad ek hi sailab kafi tha mere aashiyane ko dubane ke liye

"MAY FLOWER"

Friday, July 21, 2006

Shayaries..

kisiko paneka tha maksad mere jindagi me
aaj woh maksad kisi aur ki amanat hai
chahane se koi apna nahi hota
aur chahat hi hai woh apne chahanewaleko kabhi samajhata nahi
na koi sawal hai tumse
na koi jawab chahata houn main tumse
mitane ja raha houn iss jindagi ko
ab kisi se bhi koi shikayat nahi
likhu to bhi kya likhu
siway tere bewafayee ke
ab to ye aadat si hogayee hai tumhe yaad karke rona
likhna to shauk tha mera bas shayee me thode aansu mil gaye

ujale bhare raste the
magar humne andero bhari raah chun liya
bas hume apni aansu chhupani thi duniya se
shikayat na thi kisise hamare inn halatonse

kalam rok du to sanse ruk jayenge
tumhe na yaad karu to ye subah aur sham thum jayenge
ab tanaha rehana hai naseeb me mera
rona to na chaha kabhi, dard ko bhoolane ke liye aansu bahana pada

janata nahi houn ke mera kya hoga
tum chhodake ja rahi ho in saanso ka kya hoga
sajake rakhe the har yaad ko hamne is dil me un yaadonka kya hoga
waqt chahe kitni bhi badal jaye
jab tak houn jinda na mitne doonga ek bhi ghav iss dil ke

tumhare naseeb me sitare hai
hum diya jalaye bythe hai
andera to hai dono taraf
magar bhujhti nahi sitaroki roshni tufanome

har alfaz ka matlab nikalo
meri jindagi samajh me aayegi
bahe jo aansu in aankhonse un aansuwonki boondonko gin lo
meri mahobbat samajh me aayegi
agar itna kafi nahi hai mujhe janane ke liye
to bejijak aajavo mere ghum ko dekhne mykhane me

"MAY FLOWER"